Prime minister imran khan mai aik naam ka musalman | GlobalNewsHome

imran khan ne aaj apne aik bayan mai kaha ke pehle mai naam ka musalman ta yani jo aamaal musalman ko karna chahiye te wo mai bilkul be nahi karta balke us ka ulta karta yani hamesha gunaho mai mubtala rehta ta.

bas kabhi kabhi walid sahib ke kehne per sirf jume ki nimaz padta ta warna koi be nimaz nahi padta ta.


imran khan apne khitab mai keh rahe te ke aik din mai cricket khel raha ta our meri mulaqat aik bashir nami sufi se huwa jis ne muje emaan ka matlab samjhaya us ne mujay kaha ke quran pak ki samaj tuje tab aayegi jab emaan tere dil ke andar utar jayega.

us ne our be buhat se baate bataye jis se emaan mere dil ke andar zinda huwa us ne mujay kaha ke jab allah ka yaqeen dil ke andar puhta ho jaye to phir to phir aap ki zindagi tabdeel hona shuru ho jayegi our us ne muje kaha ke seda rasta nabi (SAW) ka rasta hai.

imran khan ne our kaha ke zindagi ke do raaste hai aik wo jo insaan apne liye guzarta hai our dusra wo jo insaan dusro ka zima daar ban jata hai.

imran khan ne our kaha ke allah ke pyare nabi ne hame bataya hai ke falahi riyasat wasayel se nahi banta balke ihsaas our raham se banta hai.

imran khan ne kaha ke pyare nabi ne sirf 11 saal mai musalmano ko dunya ka super power banaya.

Previous
Next Post »